Sunday, August 29, 2010

Aitbaar....




ankhain band ker key hum tum per aitabar kerte hain
khawabon main tum se mohabbat ka izhar kerte hain

khayalon main tum , ik ik sans main rehte ho tum
dil ki is kaifiyat ka hum bhi tu iqrar kerte hain

khawabon ki wadiyuon main tumhare ane ki her pel ahat rehte hai
kyuon tumhare khawab aa ker hamare nendon ko be_qarar kerte hain

yah ankhain hamare tumhare rah key liye taraste hain
kabhi aao tu aa ker dekh lena key hum dewano ki tarah tum se pyaar kerte hain

guzar gaye barsatain na tum aye na tumhare ahatain
ab tu samney aa jao key hum tumhara intizar kerte hain..



0 comments:

Post a Comment