Wednesday, September 1, 2010
Sunday, August 29, 2010
Aitbaar....
ankhain band ker key hum tum per aitabar kerte hain
khawabon main tum se mohabbat ka izhar kerte hain
khayalon main tum , ik ik sans main rehte ho tum
dil ki is kaifiyat ka hum bhi tu iqrar kerte hain
khawabon ki wadiyuon main tumhare ane ki her pel ahat rehte hai
kyuon tumhare khawab aa ker hamare nendon ko be_qarar kerte hain
yah ankhain hamare tumhare rah key liye taraste hain
kabhi aao tu aa ker dekh lena key hum dewano ki tarah tum se pyaar kerte hain
guzar gaye barsatain na tum aye na tumhare ahatain
ab tu samney aa jao key hum tumhara intizar kerte hain..
Zindagi.....
Mujhe Zindagi ki dua na do,
Meri Zindagi se bani nahi,
Koi Zindagi pe karay yaqeen,Mera Zindagi pe Yaqeen nahi.
Ye safar bhi kaisa safar hai…Main kabhi kahin to kabhi kahin.J
is hamsafar ki talaash haiWo mila magar wo mila nahi.
Main wo baat hoon jo bani nahi,Main wo raat hoon jo kati nahi.
Mujhe Zindagi ki dua na doMeri Zindagi se bani nahi…..!
Subscribe to:
Comments (Atom)




